Internal Linking naam sun ke hi aapko lagta hoga hi backlinks ya external links ke baare me baat ho rahi hogi. To jaisa ki aapko pata hai apke blog ya content ke rank hone ke liye links ki zarurat hoti hai. Jab aapke posts kisi web se linked hote hai to Google use easily dhundh paata hai. Yahi kaam apka internal link karta hai or Google ko apke blog ya content ka idea deta hai. Aap right internal linking strategy ko follow kar ke SEO boost kar sakte hai. To jaante hai ki SEO me Internal Link kya hai or ise kaise kiya jata hai.
Aapko apne har post ko SEO friendly banana hota hai jisse aapke blog ka Google Search Engine me rank increase ho sake. Jab ki kafi new bloggers ko ye baat ni malum hoti hai ki internal linking kya hai, kyun zaruri hai or iska use kaise kare. Is article ke baad apke confusions dur ho jayenge.
Internal Linking kya hai?
Jab ham apne post mein apne hi blog ke dusre post ka link add karte hai to use internal linking kehte hai.
Aap upr do posts ke links dekh rahe honge. Ye links Westonik Blog page ke Blogs ka link hai. To ye links mere post ke internal links ho jayenge. Blog me kaafi Sare widgets add rehte hai, for example- popular posts, archive posts, categories, etc. In sab me hamare blog ke links add rehte hai jise internal links kehte hai. Internal Link ki help se user or search bot same domain ke ek page se dusre page par jate hai. Mainly navigation ke liye use hota hai.
Internal Links SEO ke liye Kyu Important Hai?
Google ko hamari website ke sabhi pages ko find, index, and understand karne me internal links se help milta hai. Ise strategically use karne se ye hamare important page ko page authority bhi provide karta hai. Lastly, internal linking Google mein high ranking gain karne ke liye use kiya jata hai.
Internal Linking Ke Benefits
- Link use karne se aapke content ya blog ka bounce rate kafi less ho jata hai. Means agar aap ke website pe internal links added hai to jitne bhi visitors aayenge wo kaafi zyada der tak rahenge.
- Post indexing me bahut help milti hai.
- Post views numbers me increase hoti hai.
- Blog traffic increase hone me help hoti hai.
- Bounce rate kam hone ki wajah se post ranking high rehti hai.
- User friendly hota hai, means ek hi post pe user ke kaam ka content mil jata hai.
Internal Links Kis Tarah se Add kare
Jab tak aap Internal Linking sahi tarike se nahi karenge aap ko us ke fayde nahi mil sakte hai. Blog beginners mostly is step pe sabse zyada confused rehte hai ki internal linking kaise kare. To ham kuch suggestions bata rahe hai jis se aap ko internal links add karne me confusions nahi hogi.
Link Related Topics
Jab koi link aap ke post se related hoga tabhi user us link pe click karega. For example- apne koi blog likha “website Kaise banaye? ” To obviously use hosting, SEO, earning, post domain ke baare me bhi janna hoga. Tab agar aap “SEO kya hai? ” ki post ki link add kar denge to user definitely uspe click karega Or read karega. General words me kaha jaye to aap jis topic pe blog ready kar rahe hai to uske category ke posts ki link add kar sakte hai. Isse user ko zyada information milne me help hoti hai.
Use Good Anchor Text
Jin texts me aap links lagate hai use Anchor text kehte hai. Agar anchor text achhe or attractive use karenge to user zarur uspe click kar ke read karenge. But aapko yeh baat dhyan rakhni hai ki anchor text se misleading na ho. Means aisa na ho ki anchor text kuch or likha hai aap ne or click karne pe kuch or content samne aaye.
Avoid Useless Links
Aapko useless links ko avoid karna chahiye kyunki aap to ye soch ke add karte hai ki post ranking increase hogi lekin isse visitor ko problem face karni hoti hai.
Also Link Important Pages
Jab aap apne site ke dusre page ko link karte hai to aap us page pe link authority send karte hai jo us page ko Google me achha rank karwata hai.
Dofollow Links
Dofollow link ka use karne ki zarurat tab hoti hai jab aap apne internal link ke through apne site ke around page rank send karna chahte hai. Ye bahut zaruri hota hai kyun ki kaafi log apne internal links ko Nofollow kiya hota hai. Aisa usually isliye hota hai kyun ki wo kuch aise plugins ka ise karte hai jo automatic nofollow tag ko external links me add kar deta hai. Or ye setting unke internal links ko bhi nofollow kar deti hai.
I hope ki is article se aapko ye samajhne mein help mili hogi ki SEO me Internal Linking Kya hai or Kaise Karte Hai. Still confusions hai to feel free to ask. Contact us today!
Pingback: 8 Communication Points That Keep Your SEO Clients Engaged - Westonik Blog