Digitalization ke is time pe aap sabhi ke paas bahut se options available hai. To agar aap internet, technology ya computer jese fields me interest rakhte hai to sure apko nayi cheezein sikhna pasand hogi. Isme Web Developer banna ek smart decision ho sakta hai. Kyunki is waqt market me skilled web developers ki kafi zyada demand hai. To jaante hai ki successful web developer banne ke liye kya zaruri hai or kaise ban sakte hai.

Also, Read 2022 Top 9 Trending Technologies

Web Developer Kaun Hote Hai?

Basically, website banane or manage karne wale ko web developer kehte hai. Ye aise programmer hote hai to client-server model ki help se website ready karte hai. So, web developer banne ke liye HTML, CSS or Javascript ki knowledge honi zaruri h. Iska alawa ham server me PHP, ASP, NET, Python, Node.js ya Java language ka use karte hai. http ka use kar ke client or server ke bich communication hota hai. 

Responsibilities Of A Web Developer

1- WordPress se site banana

2- HTML. CSS or CMS ki knowledge hona

3- UI, UX ke use ko samajhna

4- Website maintenance or upgrade karna

5- Computer language ke sath web page likhna

Kaise Bane Web Developer?

Niche padh ke jante hai ki kaise aap ek successfull Developer ban sakte hai-

1- Basic Web Development ki Knowledge 

Ek successful Web Developer banne ke liye zaruri hai ki aap shuru se basic knowledge ki taraf interested rahein. However, basic Coding or Designing learn kar ke aap apne skills ko improve kar sakte hai. Aap youtube ya internet ki help le sakte hai. Youtube me bahut saare free videos available hai jis se aap basic designing ot coding sikh sakte hai.

2- Formal Education

Formal Education badi or reputable company me career banane ke liye help karti hai. Is ke liye aap IT- related field yani ki computer science, web development, design, etc me bachelor’s degree ka option choose kar sakte hai. Sath hi aap Master’s degree bhi continue kar sakte hai. As a result, is formal education se aap ko web development ke bahut se principles or practices ki achhi or deep understanding ho jati hai. 

3- Professional Certification

Basically, Professional Certification apki knowledge, skills, or abilities ko show karta hai. Or saath hi ye aap ke job ke liye plus point hota hai. Aaj kal to bahut saare online courses available hai jin me aap kisi bhi professional certificate course choose kar sakte hai. Kuch online platform jese ki Coursera, Udemy, Udacity, etc, aapko web development courses offer karte hai. 

4- Technical Skill Development

CSS, HTML, and Javascript- ye 3 main area hai jo aapko ek successful web developer banne me help karega. CSS or alag alag CSS framework ke baare me sikheye. Iske alawa apka Java, Ruby, PHP jaisi back-end languages pe acha command hona chahiye. Accordingly, agar aap ke paas ye technical skills hai to apke ek successful web developer banne ke chances kafi jadh jate hai. To aap ko apne technical skills ko improve karne ke liye aur zyada mehnat karni chahiye.

5- Practice More

Jitna possible hai practice karein. Since, practice makes a man perfect. Practice karne ke liye aap apne friends ke saath kisi bhi project pe kaam kar sakte hai. Ya aap freelance prohect bhi choose kar sakte hai. Coding practice aap ko kuch aise web development challenges ke liye ready karta hai. Iske alawa, aap kisi Internship Program bhi prefer kar sakte hai. Isse aapko work experience milega jo ki ek best job dhundne me apko kafi help kar sakta hai.

6- Design Work Portfolio

Now, ab aata hai ek aise work portfolio ready karna jo aapke experience or expertise ko clearly represent kare. Is portfolio ke through apni knowledge, skills or abilities ka sahi tarike se representation kar sakte hai. As a result, as a successful web developer apko best job mil sakti hai.

Web Developer Ke Liye Kaun Se Courses Kar Sakte hai?

Niche mentioned kisi bhi degree courses me involve ho ke aap ek achha or successful web developer ban sakte hai-

1- Students BE ka course choose kar sakte hai

2- After 12th aap B.Sc Computer Science, B.Com Computer Science, BCA, B.Tech courses kar sakte hai

3- After graduation aap MCA ya MBA IT ka course kar sakte hai

4- In sab ke alawa aap diploma ya Certificate Courses bhu kar sakte hai

Web Developer Types

1- Frontend Web Developer

Frontend Developer wo hote hai jo kisi bhi website ka look and appearance design karte hai. Jaise ki website ki design, look, images, etc banana sab frontend developer ka kaam hota hai. Ek successful frontend web developer banne ke liye aap ko HTML, CSS, Javascript designing ki achhi knowledge honi chahiye. Frontend Developer ki average salary 5-6 lakhs yearly hoti hai.

2- Backend Web Developer

Backend Web Developer just opposite hota hai Frontend Web Developer ka. CSS, HTML, Javascript ko vyavasthit karne ki responsibility Backend Developer ki hoti hai. Inki salary frontend developer se zyada hoti hai jo ki 7-9 lakhs yearly hota hai.

3- Full Stack Developer

Full Stack Developers wo hote hai jin ko frontend or backend development dono ki bahut achi knowledge hoti hai. To agar aap me full stack developer ki achi command aati hai to aap high MNC’s me achi salary pe job paa sakte hai.

web developer

Ek Successful Web Developer Hone ke Benefits?

1- Work Remotely- Remote working ek major benefit hota hai jo ki apko bhi mil sakta hai. Kaun nahi chahta kahin pe bhi or kisi bhi samay par kaam karna. So work hard and get this.

2- Work Freelance- As a freelancer kaam karne ka fayda ye hai ki aap ek saath alag alag companies me kaam kar ke experience le sakte hai.

3- Profitable Technology- Zyadatar tech startups ko web developers ki zarurat hoti hai. To ap asani se or jaldi job paa sakte hai.

In sab ka alawa, aap apni khud ki website ya web applications ke liye apne skills ko use kar sakte hai. To kya aap Prayagraj ki best web development company dhund rahe hai jo ki aapko web development certification provide kar sake? Westonik Solutions reliable web development certification courses offer karti hai jahan aap ko sari cheezein ek affordable price me sikhne ka mauka mil sakta hai. To aaj ki contact karein or apne career ko kick start karein.

Or details ke liye, www.westonik.com visit karein. Thank You!